Friday, September 3, 2010

Ghazal: La Phir Ek Baar Wahi Baadah-o-Jaam Aye Saaqi

La Phir Ek Baar Wahi Baadah-o-Jaam Aye Saaqi!
Haath Aajaye Mujhe Mera Maqaam Aye Saaqi!
O Cup-bearer! Give me again that wine of 'love for You';
Let me gain the real place, my soul desires!

Teen So Saal Se Hain Hind Ke Mai-Khaane Band;
Ab Munaasib Hai Tera Faiz Ho Aam Aye Saaqi!
For Three hundred years the wine-shops of India are closed.
Now is the time Your Triumph should be made popular, O Saaqi

Mere Maina-e-Ghazal Mein Thi Zara Si Baaki;
Shaikh Kehta Hai Ke, "Hai Ye Bhi Haraam", Aye Saaqi!
My lyrical vein was all dried up, with little remains.
The Shaik decrees that, "Even this is prohibited", O Saaqi!

Sher Mardon Se Hua Baisha-e-Tehqeeq Tahi!
Reh Gaye Sufi-o-Mullah Ke Ghulam Aey Saaqi!
The whole Nation is Empty with the Lion Charactered Men
Now that we are the Slaves of the so called Sufi & Mullah,O Saaqi

Ishq Ki Taigh-e-Jigar Daar Uda Li Kisne?
ILM Kay Haath Mein Khali Hai Nayaam Aey Saaqi!
Who Snatched Away the Piercing Sword of Love (Strong Faith)?
Knowledge is Left With an Empty Sheath Alone, O Saaqi!

Seenah Roshan Ho, Tho Hai Soz-o-Sukhan Ain-e-Hayaat;
Ho Na Roshan, Tho Sukhan Marg-e-Dawaam Aey Saaqi.
With a luminous soul the power of song is life;
With a darkened soul that power is eternal death.

Tu Meri Raat Ko Mehtaab Se Meroom Na Rakh;
Tere Paimaane Mein Hai Mah-e-Tamaam Aye Saaqi.
A full moon glistens in Your brimful cup;
Deprive me not of its silver beams at night.

Tuesday, February 16, 2010

Ghazal: Pooch Unse Ke Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi

Pooch Unse Ke Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi
Tu Sahib-e-Manzil Hai Ke Bhatka Huwa Rahi?

Kafir Hai Musalmaan, Tho Shahi Na Fakeeri
Moomin Hai Tho Karta Hai Fakeeri Mein Bhi Shahi

Kafir Hai Tho Shamsheer Pe Karta Hai Bharosa
Moomin Hai Tho Be Taigh Bhi Ladta Hai Sipahi

Kafir Hai Tho Hai Taabi-e-Taqdeer Musalmaan
Moomin Hai Tho Wo Aap Hai Taqdeer-e-ilaahi

Maine Tho Kiya Parda-e-Asraar Ko Bhi Chaak
Dereena Hai Tera Marz-e-Kor Nighaahi