Wednesday, October 7, 2009

Ghazal: Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Aasmaan Ke Liye

Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Aasmaan Ke Liye

Jahaan Hai Tere Liye, Tu Nahin Jahan Ke Liye

You are not for the Earth, nor are you for the heavens

The whole universe is for you; you are not for the universe

 

Ye Akal-o-Dil Hai Sharar Shola-e-Mohabbat Ke

Wo Khaar-o-Khas Ke Liye Hai, Ye Nestaan Ke Liye

The mind and the heart Are sparks in the flame of love;

One for a moment's world, The other for an everlasting world

 

Maqaam-e-Parwarish-e-Aah Wa Naala Hai Ye Chaman

Na Sair-e-Gul Ke Liye Hai Na Aashiyaan Ke Liye

This garden is for you to yearn, To seek a beautific vision.

Not for your delight and nor to build your adobe.

 

Rahega Raavi-o-Neel-o-Faraat Mein Kab Tak?

Tera Safeena Ke Hai Bahr-e-Bekaraan Ke Liye

Till when will you be in the Ravi, Nile and the Tigress?

Your Ship is for the Open Sea of Restlessness.

 

Nishaan-e-Raah Dikhaate The Jo Sitaron Ko

Taras Gaye Hain Kisi Mard-e-Raahdan Ke Liye

They were a beacon once To the brightest stars of heaven,

But now they languish in darkness, In search of a guide to lead them.

 

Nigah Buland, Sukhan Dilnawaaz, Jaan Pur Soz

Yahi Hai Rakht-e-Safar Meer-e-Kaarwaan Ke Liye

A lofty vision, Gracious speech, And a passionate soul

These are the attributes Of the leader of Caravan.

 

Zara Si Baat Thi Andesha-e-Ajam Ne Use

Badha Diya Hai Faqat Zaib-e-Daastaan Ke Liye

It was a small speech; But the because of Non-Arabs' thought,

Made it big just for the sake of a Story

 

Mere Gulu Mein Hai Ek Nagma-e-Jibraeel Aashob

Sambhal Kar Jise Rakha Hai La Makaan Ke Liye

My soul has a secret song, A defiance to Gabriel

A song I have preserved For life in eternity.

Posted via web from Allama Iqbal Blog

Saturday, October 3, 2009

Mard-e-Musalman


Har Lehza Hai Moomin Ki Nayee Shaan Nayee Aaan;
Guftar Mein Kirdaar Mein Allah Ki Burhaan.

Every Moment of a True Believer is a new grandeur;
By words and deeds he gives a proof Of Mighty God, His reach and power

Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabrood;
Yeh Chaar Anasir Ho Tho Banta Hai Musalmaan.

Rout the foes, Grant them Reprieve, Do pious deeds & show great might;
Are the four characteristics that make A Perfect Muslim

Hamsaaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki;
Hai Iska Nasheman Na Bukhaara Na Badakhshaan.

This clay-born man has kinship close to Gabriel the trusted;
His dwelling place is neve r a land or clime.

Ye Raaz Kisiko Nahin Maalum Ke Moomin!
Qari Nazar Aata Hai; Haqeekat Mein Hai Qur'an.

The Believer's Secret has not been known by anyone.
He looks like a Reciter; But in fact he himself is the Qur'an.

Qudrat Ke Maqasid Ka Ayyar, Iske Iraade;
Duniya Mein Bhi Mizaan, Qayamat Mein Bhi Mizaan.

The Nature's aims and ends are his intentions;
He keeps Balance in this World also & keeps Balance in the Hereafter also.

Jis'se Jigar-e-Laala Mein Thandak Ho Wo Shabnam;
Daryawon Ke Dil Jis'se Dahel Jaaye Wo Toofaan.

With friends and mates, He is dew that cools the tulip;
With enemies he is like torrent strong which makes oceans shake.

Fitrat Ka Sarood-e-Azal Iske Shab-o-Roz;
Aahang Mein Ekta, Sifat-e-Sura-e-Rehmaan

His Days and Nights are Nature's Sweet Song;
Like Chapter Rehman of Qur'an is his Melodious rhyming tune.

Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein Anjum;
Le Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchaan.

Such thoughts that shine like lustrous stars are provided in my Brain
Recognize the star which will guide your Fate.

Monday, July 27, 2009

Gazal: Ajab Waa'iz Ki Deendari Hai Ya Rab!

Ajab Waa'iz Ki Deendari Hai Ya Rab!
Adaawat Hai Ise Saare Jahaan Se.

Strange is the piety of the preacher, O Lord!
He has animosity (hatred) towards the whole world

Koi Ab Tak Na Ye Samjha Ke Insaan;
Kahaan Jaata Hai, Aata Kahaan Se?

Nobody has so far understood that Man!
Where he is going, and where is coming from?

Waheen Se Raat Ko Zulmat Mili Hai!
Chamak Taare Ne Payee Jahaan Se!

From the same source has the night obtained darkness!
The source from where the star has obtained brightness.

Hum Apni Dardmandi Ka Fasaana!
Suna Karte Hain, Apne Raazdaan Se.

The tale of our compassion is;
Always related by our sympathizer.

Badi Baarik Hain, Wa'iz Ki Chaalein;
Larazta Hai Awaaz-e-Azaan Se.

Very subtle are the ways of the preacher;
He trembles on hearing the voice of adhan!


Reblog this post [with Zemanta]

Ghazal - Gulzaar-e-Hast-o-Bood Na Begaana Waar Dekh!

Gulzaar-e-Hast-o-Bood Na Begaana Waar Dekh!
Hai Dekhne Ki Cheez Ise Bar Bar Dekh!

Do not look at the garden of existence like a stranger!
It is a thing worth looking at, look at it again and again.

Aaya Hai Tu Jahaan Mein Mashaal-e-Sharaar, Dekh.
Dam De Na Jaaye Hasti, Napaayedaar Dekh.

You have come into the world like a spark, beware!
Lest your short span of life may end suddenly, beware.

Maana Ke Tere Deed Ke Qabil Nahin Hain Ham.
Tu Mera Shokh Dekh Mera Intezaar Dekh.

I accept that I am not worthy of Your (God's) Sight.
You should look at my zeal, and look at my perseverance (patience).




Reblog this post [with Zemanta]

Thursday, July 23, 2009

Ghazal: Zamana Aaya Hai Be-Hijaabi Ka

Zamana Aaya Hai Be-Hijabi Ka, Aam Deedar-e-Yaar Hoga;
Sakoot Tha PardaDaar Jiska Wo Raaz Ab Aashkaar Hoga.

Era has come for openness, so Beloved's Sight will be common.
The secret which silence had concealed, will be unveiled now.

Guzar Gaya Ab Wo Daur Saaqi, Ke Chupke Peetey The PeeneWaale;
Banega Saara Jahaan Mai'Khaana; Har Koi Badah Khwaar Hoga.

O Cup-bearer! Time has gone when wine was taken secretly.
The whole world will become a Bar, everyone will be drinking

Kabhi Jo Aawarah Junoon The, Wo Bastiyon Mein Phir Aa Basenge;
BarahnaPaayi Wahi Rahegi, Magar Naya KhaarZaad Hoga.

Those who once wandered insane, will return to habitations;
Lovers' wandering will be the same but deserts will be anew.

Suna Diya Gosh-e-Muntazir Ko Hijaaz Ki Khamoshi Ne Aakhir;
Jo Ahad Sehra'iyon Se Baandha Gaya Tha Phir Ustawaar Hoga.

The Hijaz' silence has proclaimed to the waiting ear at last
The covenants established with deserters will be re'assured

Nikal Ke Sehra Se Jisne Rooma Ki Saltanat Ko Ulat Diya Tha;
Suna Hai Ye Qudsiyon Se Maine Wo Sher Phir Hoshiyar Hoga.

The one coming from deserts had overturned the Roman Empire;
I have heard from the Qudsis that the same Lion will be re-awakened

Kiya Mera Tazkira Jo Saaqi Ne Badahkwaaron Ke Anjuman Mein;
Tho Peer-e-Majlis Ne Sunke Kehne Laga K Manphat Hai Khwar Hoga

As the cup-bearer mentioned me in the wine-drinkers assembly;
The Bar's head said, "He is insolent, he will be disgraced"

Diyaar-e-Maghrib K Rehne Walon, Khuda Ki Basti Dukan Nahi Hai;
Khara Jise Tum Samajh Rahe Ho Wo Ab Zar-e-Kam 'Ayaar Hoga.

O Western world's inhabitants, God's world is not a shop!
What you are considering genuine, will be regarded counterfeit.

Tumhaari Tehzeeb Apne Khanjar Se Aap Hi Khudkashi Karegi;
Jo Shaakh-e-Naazuk Pe Aashiyana Banega Na-Payedaar Hoga.

Your civilization will commit suicide with its own knife;
The nest built on the weak branch will not be permanent, stable.

--

Chaman Mein Lala Dikhaata Phirta Hai Daag Apna, Kali Kali Ko;
Ye Jaanta Hai Ke Is Dikhaawe Se Diljalon Mein Shumaar Hoga.

The Lala (a bird), shows its spots to every flower-bud in the garden.
Knowing that by doing this it will be among the Love haters.

Jo Ek Tha Aye Nigaah Toone Hazaar Karke Hamein Dikhaaya;
Yahi Agar Kaifiyath Hai Teri Tho Phir Kise Aitebaar Hoga?

O Sight! that which was the One(God) you showed us as a thousand?
If this is still your state, what will be your trustfulness?

---

Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaro Bano Mein Phirtey Hain Marey Marey
Main Uska Banda Banonga Jisko,Khuda Ke Bandon Se Pyar Hoga

God's Lovers are in thousands, roaming here & there in the caves;
I shall adore the one who will be the lover of God's people

Ye Rasm-e-Bazm-e-Fana Hai, Aye Dil! Gunah Hai Chumbish-e-Nazar Bhi;
Rahegi Kya Aabaru Hamaari Jo Tu Yahaan Beqaraar Hoga?

These customs & rituals are to perish, O Heart! Even winking is a sin
What will our respect be if you will be restless here?

Main Zulmat-e-Shab Mein Leke Niklunga Apne DarManda Karwaan Ko;
Sharar Fashaan Hogi Aah Meri, Nafs Mera Sholabaar Hoga!

In the darkness of the night I shall take out my tired caravan
My sigh will be shedding sparks my breath will be throwing flames

---

Na Pooch Iqbal Ka Thikaana, Abhi Wahi Kaifiyat Hai Uski;
Kahin Sar-e-Raah Guzaar Baitha, Sitam Kash-e-Intezaar Hoga.

Do not ask about the condition of Iqbal,he is in the same state;
Sitting somewhere by the wayside waiting for oppression!



Reblog this post [with Zemanta]

Friday, June 12, 2009

Ghazal - Mata-e-Bebaha

Mat'a-e-Bebaha Hai Dard-o-Soz-e-Aarazoo Mandi!
Makaam-e-Bandagi Dekar Na Loon Shaan-e-Khudawandi!

Consuming fire for You, O Lord, Is a gift I will not trade;
I will not change slave's rank with that of a Master of men!!

Tere Aazaad Bandon Ki Na Ye Duniya Na Wo Duniya!
Yahaan Marne Ki Pabandi Wahaan Jeene Ki Pabandi.

Neither this world nor the next is for Your Liberal-slaves;
They are forced to die in this, And forced to live in the other!

Hijaab Akseer Hai Aawara Koo-e-Muhabbat Ko;
Meri Aatish Ko Bhadkati Hai Teri Der Paibandi.

Concealment is an elixir For those who are lost in love.
Your provoking reticence Inflames my passion more;

Guzar Aukaat Kar Leta Hai Ye Koh-o-Bayabaan Mein;
Ke Shaheen Ke Liye Zillat Hai Kaar-e-Aashiyaan Bandi.

Living in peace it roams On hills and in wildernesses;
The pride of Falcon will degrade By building an abode for itself.

Ye Faizaan-e-Nazar Tha Ya Ke Maktab Ki Karamat Thi?
Sikhaai Kisne Ismail Ko Aadab-e-Farzandi?

Was it the blessing of a glance, Or the miracle of tutelage?
Who taught to young Ismail The ways of filial obedience?

Ziyaratgaah-e-Ahle Azm-o-Himmat Hai Lahad Meri!
Ke Khaak-e-Raah Ko Maine Bataaya Raaz-e-Alwandi!

My grave is like a shrine For men of thought and courage!
For I have revealed truths sublime To mere specks of dust.

Meri Mashshatgi Ki Kya Zaroorat Husn-e-Maani Ko?
Ke Fitrat Khudba Khud Karti Hai Laale Ki Hinabandi!

The beauty of meaning need riot be Adorned by my craft,
For nature does herself Laala's Hinabandi (Incarnadine).
Laala is a kind of flower.



Reblog this post [with Zemanta]