Sunday, August 31, 2008

Lenin - Khuda Ke Huzoor Mein

Aye Anfus-o-Afaq Mein Paida Tere Ayaat;
Haq Ye Hai, Ke Hai Zinda-o-Painda Teri Zaat.

Signs, within the soul and within the Universe bear witness;
Truth it is indeed, that Your identity is existing and everlasting.


Main Kaise Samajhta, Ke Tu Hai Ya Ke Nahi Hai?
Hardam Mutaghayyar They Khirad Ke Nazariyyat.

How will I know whether Your existence is there or not?
The view point of Intellectuals was always fluctuating and differing.


Mehram Nahi Fitrat Ke Sarod-e-Azali Se;
Beena-e-Kawaakib Ho Ke Daana-e-Nabataat.

Man is not in tune with the Nature's Infinite Music.
Be he the great Astronomer or even he be expert in Botany.

Aaj Aankh Ne dekha, Tho Wo Aalam Huwa Saabit;
Main Jisko Samajhta Tha Kaleesa Ke Khuraafaat.

To-day when i saw, the thing became evident.
That I once thought the mummery (superstitions) of the Church.

Ham Bande Shab-o-Roz Mein Jakde Huwe Bande;
Tu Khaliq-e-Asaar-o-Nigaarind-e-Aanaat.

We are handcuffed in the chains of day and night!
You are the Creator of Essence and Beautifier of Moments (Time).

Ek Baat Agar Mujhko Ijaazat Ho Tho Poochun?
Hal Kar Na Sake Jisko Hakeemon Ke Maqaalaat.

Let me have leave to ask this question, one
Not answered by the subtleties of the schools

Jab Tak Main Jiya Khema-e-Aflaak Ke Neeche;
Kaante Ki Tarha Dil Mein Khatak'ti Rahi Ye Baat.

Until I lived under the Tent of Heavens;
These words, Like a thorn, continued to irritate in my heart.

Guftaar Ke Usloob Pe Kaabu Nahi Rehta;
Jab Rooh Ke Andar Mutalaatim Ho Khayaalaat.

I could not keep my tumbling words within bounds.
When thoughts are wavy/unsteady inside the soul.

Wo Kaunsa Aadam Hai? Ke Tu Jiska Hai Mabood?
Wo Aadam-e-Khaaki? Ke Jo Hai Zer-e-Samawaat?

Which is that mortal being of which You are the Lord?
Those beings formed of dust beneath these heavens?

Mashrikh Ke Khudaawand Safedaan-e-Farangi;
Maghrib Ke Khudaawand Darakh'shanda Filizzaat.

The masters of the East are pale of the Europeans,
The masters of the West are the glittering metals.(Gold etc)

Europe Mein Bahut Roshani-o-ilm-o-Hunar Hai;
Haq Ye Hai Ke Be-Chashmah-e-Haiwaan Hain Ye Zulmaat.

Ya,its true that there is light of knowledge & skill in Europe
But becouse of d Darkness(non belief in God), their's no life in it

Raanai-e-Taameer Mein, Raunak Mein Safa Mein;
Girjon Se Kaheen Badhke Hain Bank'on Ke Imaaraat

In beauty of construction, in brightness, in cleanliness,
Towers of banks are much more greater than the places of worship

Zaahir Mein Tijaarat Hai, Haqeeqat Mein Juwa Hai;
Sood Ek Ka, Lakhon Ke Liye Marg-e-Mafaajaat.

Business in appearance, but gamble in reality,
Profit for one, but for millions it is swooping death.


Ye ilm Ye Hikmath Ye Tadabbur Ye Hukoomat;
Peete Hain Lahoo, Dete Hain Taaleem-e-Musaawaat.

The knowledge,the wisdom, the scholarship & the government,
Drink/Suck the blood of the poor and say that they treat them all as equal


Bekari-o-Uryaani-o-Mai'Khaari-o-IfLaas
Kya Kam Hain Farangi Madaniyat Ke Fatoohaat?

Unemployment, nakedness, Drunkenness, bankruptcy etc;
Are these the mean triumphs of the Western civilization?

Wo Qaum, Ke Faizaan-e-Samaawi Se Ho Mehroom;
Hadd Uske Kamalaat Ki Hai Barq-o-Bukharaat.

That nation which is deprived of heavenly grace
Doesn't Progress beyond than electricity or steam. (Means only worldly life)

Hai Dil Ke Liye Maut, Machine'on Ki Hukoomat;
Ehsaas-e-Murawwat Ko Kuchal Dete Hain Alaat

Rule of machines are death to our hearts (humans),
These machines destroy sense and feelings of human kindness.

Aasaar Tho Kuch Kuch Nazar Aatey Hain Ke Aakhir;
Tadbeer Ko Taqdeer Ke Shaatir Ne Kiya Maat

The symptoms do appear here and there, but at the end.
The tactics of the humans have been completely defeated by the Fate

Mai'Khaane Ki Bunyaad Mein Aaya Hai Tazal'zul;
Baithey Hain isee Fikr Mein Peeran-e-Kharabaat

The Wine house's foundations got a jolt,
Old men of bad habits sit with this concern.

Chehron Pe Jo Surkhi Nazar Aati Hai Sarr-e- Shaam;
Ya Ghaazah Hai Ya Saaghar-o-Meena Ke Karaamaat.

The redness that appears on faces at the time of dusk,
Is it a cosmetic and painting or miracles of cups and glasses?

Tu Qadir-o-Aadil Hai Magar Tere Jahaan Mein;
Hain Talkh Bahut Banda-e-Mazdoor Ke Auqaat.

You are all Powerful, and The Just, but in Your world;
The times(fortunes) of the labourers, are very bitter/short.

Kabb Doobega Sarmaaya Parasti Ka Safeenah;
Dunya Hai Teri Muntazir-e-Roz-e-Makafaat

When shall the ship of money-worship drown?
Your world is awaiting the day of returns(reward or wrath).

1 comment:

  1. Assalamualikum..I'm fan of Allam Iqbal sahib.I need his popular sher i don't know but something like that KIDMAT KAR FAQIRUN KI...BADSHAON KI KASONO MEIN...

    ReplyDelete