Saturday, December 3, 2011

Tarana-e-Milli

Cheen-o-Arab Hamaara, Hindusitaan Hamaaraa
Muslim Hain Ham, Watan Hai Saaraa Jahaan Hamaaraa
 
Central Asia and Arabia are ours, Hindustan is ours
Since we are Muslims, the whole world is our homeland
 
Tauheed Ki Amaanat Seenon Mein Hai Hamaare
Aasaan Naheen Mitaanaa Naam-o-Nishaan Hamaaraa
 
The trust of Oneness (Monotheism) is deep in our hearts
It is not easy to erase our identity [name and sign]
 
Duniya Ke But-kadon Mein Pehlaa Wo Ghar Khudaa Ka
Ham Uske Paasbaan Hain, Wo Paasbaan Hamaaraa
 
Among the world's worship places the first is that house of the Lord
We are its door-guards, it is our door-guard
 
Taighon Ke Saaye Mein Ham, Pal Kar Javaan Huwe Hain
Khanjar Hilaal Ka Hai Qaumi Nishaan Hamaaraa
 
We were raised, and have become youths, in the shadow of swords
The scimitar of the crescent moon is our 'group-related' sign
 
Maghrib Ki Vaadiyon Mein Goonji Azaan Hamaari
Thamtaa Nah Thaa Kisi Se Sail-e-Ravaan Hamaaraa
 
In the valleys of the west our call to prayer echoed
Our moving flood did not stop on account of anyone
 
Baa:til Se Dabne Waale Ay Aasmaan Naheen Ham
Sau Baar Kar Chukaa Hai Tu Imtihaan Hamaaraa
 
We are not, oh sky, ones to be oppressed by falsehood
A hundred times you've already tested us

Ay Gulsitaan-e-Andlus! Woh Din Hain Yaad Tujh Ko
Tha Teri Daaliyon Mein Jab Aashiyaan Hamaaraa
 
Oh garden of Andalusia! you remember those days
When our nest was in your branches
 
Ay Mauj-e-Dajlah! Tu Bhi Pahchaanti Hai Hamko
Ab Tak Hai Tera Darya Afsaanah-Khwaan Hamaaraa
 
Wh wave of the Tigris! you too recognize us
Till now your river is our story-teller
 
Ay Arz-e-Paak! Teri Harmat Pah Kat Mare Hain
Hai Khoon Tiri Ragon Mein Ab Tak Ravaan Hamaaraa
 
Oh pure land! for your sacredness we have been cut down and have died
Till now our blood moves in your veins
 
Saalaar-e-Kaaravaan Hai Miir-e-Hijaaz Apnaa
Us Naam Se Hai Baaqii Aaraam-e-Jaan Hamaaraa
 
Our leader of the caravan is the Chief of the Hijaz
Through that name the peace of our spirit lives on
 
Iqbaal Kaa Taraanah Baang-e-Daraa Hai Goyaa
Hotaa Hai Jaadah-Pemaa Phir Kaaravaan Hamaaraa
 
Iqbal's song is, {'so to speak' / 'speaking'} , the call of a bell
Again our caravan is on the road
blog comments powered by Disqus